حسبي الله و نعم الوكيل

One of my friends recently wrote in his Facebook status related to 10th Muharram:

"Meray liye yeah paanch (5) hi kaafi hain... Mustafa, Murtaza, Hasan, Hussain aur Fatima"

Mein nai us kai jawab mein likh diya:

حسبي الله و نعم الوكيل
Mere liye mera Allah hi kaafi hai

Theek kiya na mein nai?

2 Comments

  1. Kisey sahih kahon aur kisey ghalat kahon? Tarazo kahan rakhon?

    Allah bhi kaafi hai aur ye 5 bhi Allah k zariyah se kaafi hain. in 5 ki us aik se nisbat. in 5 se un 4 ki nisbat. un 4 se un 10 ki nisbat. un 10 se un 12 ki nisbat. un 12 se us 11 waaley ki nisbat. inhi se un 80 ki nisbat aur ye nisbatein kabhi khatam nahi hoti.

    Allah ta'ala kaafi hai magar Allah ne khud farmaya WABTAGHO ILAIHI-L WASEELA. Us ki rah mein waseela talash karo. Allah ne apna pegham hum tak Muhammad (SAWAW) k waseeley tak puhunchaya. Un tak kabhi waseelon se kabhi waseelon k baghair puhunchaya. Kabhi waseela jibrael they to kabhi qalb mein baghair waseeley k wahi aati thi.

    Tarazo jidhr rakho ge udhr kaam kharab hoga. Jidhr baith k fazeelaton ka meter pakro ge wahin kaam kharab hoga. hum to bus wohi kehty hain jo Sahabah kehty they ALLAHO A'ALAMO WA RASOLOHO A'ALAM. k Allah jaanta hai aur uska Rasool (SAWAW) jaanta hai.

    ReplyDelete
  2. بھائی، آپ نے اللٰہ کی آیت کا حوالہ دیا ہے۔ اور اللٰہ تعالیٰ کبھی جھوٹ نہیں بولتا۔

    ReplyDelete

اگر آپ کو تحریر پسند آئی تو اپنی رائے ضرور دیجیے۔